26 May 2011

What Islam says about this Mystery.


Dear All.
Thori confusions thi, jo samaj nahi pata main, socha idher discuss karun, koshish karunga Confusion samjhanay ki. Might be possible aap ko samaj ajai, Appreciate your comments Specially if some give references from Quran and Hadith.
Mainay bohat martaba yeh note kia hay k kisi insaan per jab burai ati hay tu ati hi chali jati hay, Her taraf say phir woh phasta chala jata hay, saray kaam uss k jesay ruk jatay hain, jiss kam main haath daalta hay usay khasara hota hay, her waqt uss k sir per jesay preshanio k badal rehtay hain, Esay main uss per woh preshania bhi ati hain jinhain woh kabhi bhi expect nahi kar raha hota hay.
On the other hand kuch log jin ki zindagi khush gawar hoti hay, tu hoti hi chali jati hay, her taraf khushian, un k kaam khud ho rahay hotay hain, koi preshani nahi kuch nahi, woh jiss kam main hath daltay hain uss main kaamyaab hotay hain, kismat un ka bharpoor saath dati hain her kaam main, mainay esa un cases main bhi dekha hay jiss main log shayd be-namazi bhi hotay hain, apni kamyabio ki taweel list dekh kar woh maghroor bhi hotay hain.
One Example out of many, Ek banda jiss per be-rozgari hay tu woh kafi arsay tak berozgari k dhakkay khata hi rehta hay, doosri taraf ek banda jo on-job hay, jo gharoor bhi karta hay, jo iss baat ko show karta hay k main bohat kabil or experience hun yani show-sha.........esay bunday job per lagay bhi rehtay hain or un ko achi opportunities bhi milti rehti hain.
What islam says bout this situation ? kyaa aap logo nay bhi yeh un-equal situation note ki hay ? I know this is too much boring topic, but will appreciate your input.
Thanks and Takecare.

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...